Aaj ka jo subject hai wo to har kisi ki life me garmi bhar deta hai,wo jab bhi shuru hota hai humari body aur mind dono kaafi garam ho jate hai...na na galat mat samjhna mera matlab hai CHIK CHIK, yani annbann ya tanaav ya arguments ya chote mote jhagde.....ab chahe wo husband wife ke beech me hon ya neighbours ke beech me ya fir office me kisi coworker ke saath, garmi to badh hi jaati hai, aur wo garmi sirf aap tak nahi rahti wo aas pass ki sabhi cheejon ko garam kar deti hai...aur agar baat kuch jyada hi bigad jaaye to fir aag lagne ki ki bhi poori sambhawana hoti hai, jo ki aankhon se to nahi dikhti par bahut kuch khaak kar sakti hai.
sochne wali baat hai na ki jo garmi mashsoos nahi hoti wo kitni garmi badha sakti hai aur jo aag dikhayi nahi deti wo kitna kuch jala sakti hai....to kya karen ab hain to insaan hi gussa aana to natural hai...bilkul ishme kisi ka bas nahi hai, to kya karen sab kuch yun hi barbaad to nahi hone de sakte, kyunki do pal me jo kuch bhi khaak ho jaata hai use banane me hume barson lage hain, fir chahe wo koi rishta ho ya dosti , to main kahungi aap AC ki tarah bane, bahar kitni bhi garmi nikal rahi ho par aap andar se cool rahenge, jab aap andar se cool rahenge to aap aisa koi bhi faisla lene se bachenge jo aapko nuksan pahunchye...kyunki bahar ki garmi utna nuksan nahi pahuchaati jitna andar ki aag, agar aapka dimag cool hai aur aapke sath koi argument kar bhi raha hai to aap samajh payenge ki aapko kya karna hai aur kya nahi...kyunki aapke sath argument karne wala bhi andar se jal hi raha hota hai , aise me ho sake to apni thandak ka ahsaash unhe bhi hone den ho sakta hai wo shant ho jaye aur samajh paaye ki use kya nahi karna hai.
kabhi kabhi AC ban jana fayedemand hota hai....ek to bahut kuch tootne se bach jaata hai aur doosra saamnewale ke dil me aapke liye samman bhi badhta hai....par ye sabhi ke liye thoda mushkil hoga kyunki har kisi ka tamper alag hota aur koi koi to poora oven hi ban jata hai.....aise me aapko jyada ton ke AC ki jaroorat hogi aise me jiske sath aap argu kar rahe hain ushki achchi baaton ko yaad kar sakte hain ye aapko thoda rahat pahuchayega ya fir aap 100 tak counting kar sakte hain ya fir aap apni favourite dish ke baare me soch sakte hain aur bahut kuch bikharne se bachcha sakte hain, par iske sath sath apni self respect ka bhi khayal rakhen aur jahan par jawab dena jaroori ho aur aapke paas ke harmless jawab ho to jaroor den.
hum insaan hain hum chahen to kya nahi kar sakte sab kuch humari soch par depend karta hai kyunki hum jaisa sochte hain waise hi ban jaate hain, life me thodi bahut nok jhok achchi hai par ise jung ka maidan na banayen ,arguments ko khatti meethi chashni hi bane rahne den use karele ka juice na banayen , kyuki jab bhi aap gusaa karte hain aur jis par bhi karte hain to doosron se jyada aap apna nuksaan karte hai , bhale hi aap kisi argument me jeet jaayen par asaliyat me aap bahut kuch haar chuke hote hain ishliye argument ko khatam karne ki koshish karen winner banne ki nahi , apne andar ke AC ko humesha on rakhen aur CHIK CHIK se bache rahen....aur khush rahen.
Thank you
Niceone.. Everyone should follow this. This is the best rule for a cool life.
ReplyDeletethank you
DeleteYep...no use of arguments. We should avoid such situations
ReplyDelete
Delete:)