Monday, April 13, 2020

Body Parameters






Main hamesha sochti hun ki hamari body ke parameters kaun decide karta hoga ya fir kisne ye decide kiya hoga ki body kaisi honi chahiye, kis tarah ki body perfect hogi aur imperfect body me kya kya kamiyan hongi, Moti body badsoorat maani jayegi aur slim body perfection ki category main aayegi....fairness par kaseede padhe jayenge aur dark skin ko self confidence ki kami rahegi...kyunki jahan tak main samjhti hun body ka hamari personality se koi lena dena nahi hai, kyunki parameters body ke liye ho sakte hain par hamara dimaag ish catagory me nahi aata, to fir ye factor kanha se aaya ,kisne ishko invent kiya...kyun kisi fat guy ko dekhte hi har doosra aadmi ushe weight loss ka suggestion dene lagta hai jo ki ushe bilkul nahi cahiye.

hamari body kaisi ho ye hum decide karte hain ya kabhi kabhi nahi bhi karte hain, par hamari ka body coordination hamare dimaag ke sath aisa hota hai jaise maa aur bacche ka,ab yanha par bachcha hai hamari body aur maa hai dimaag,to maa apne bachche khud chahe kitna bhe daant le punish karle par agar kisi bahar wale ne ungli uthai to maa bhadak jaati hai,matlab hamara dimaag jo ki pahle to doosron ladta hai fir khud ke bachche ko bura bhala bolta hai jisme ki dimag aur body ke beech ek jung shuru ho jati hai,jiska result kabhi kabhi bahut effective ataa hai aur kabhi kabhi bahut hi unexpected ,jaisa ki maine pahle hi bataya dimaag body ki maa hai to maa bhi to kayi tarah ki hoti aur bacche bhi kayi tarah ke hote hain,kuch maayen to sirf apne samne bacchon ko dant lagati hain aur kuch sabke samne,waise hi kuch bachche maa ka kahna maante hain ,kuch nahi maante aur kuch thoda maante hain...par jara sochiye kitna achcha ho agar hamara dimag ek samjhdaar maa ho jo bakhoobi apne bachche ho handle karna janti ho,jo apne bachche ki kamiyon par ushe daante nahi balki soodhrne ki koshish kare,ushe himmat de confidence de,jisse wo duniya ke samne khud ko kam na samjhe...

ye hum sabki kahani hai hum sab kisi na kisi body shaming se ghire hain,kyunki hum dimaag aur body me dosti nahi kara pate hain,aur dono ke jhagde ke beech uljhe rahte hain par agar hum ish jagde ko suljha lete hain aur dono ek team ki tarah kaam karne lagte hain to hum wo har goal achieve kar sakte hain jo hum abhi tak nahi kar paye hain...to pahle apne andar ke jhagde ko suljhaiye aur fir dekhiye duniya kaise aapka muh taakte rah jayegi,,,kyunki jo andar se kalm aur peaceful hai uska koi kya bigaad lega,aap ek nayi shine ke sath duniya se milenge aapke andar itni energy hogi ki bahar ki negativity aapko choo bhi nahi payegi...to aaj se hi apni body aur dimaag ki dosti karana shuru kijiye aur khush rahiye!!!


Thank you...

3 comments:

हाँ!मैं औरत हूँ

◆◆हाँ! मैं औरत हूँ◆◆ नए ज़माने के साथ मैं भी क़दम से क़दम मिला रही हूँ घर के साथ साथ बाहर भी ख़ुद को कर साबित दिखा रही हूँ हर क...